Romantic Shayari - Page 4



Yun Nazron Ki Baat

yun nazron ki baat ki to dil chura gaye,
andheron k saaye me dhadkane suna gaye ,
humne to samjha tha aapko ajnabi ,
magar aap to hame hi apna bana gaye……..

Alfaaz Ki shakal main

Alfaaz ki shakal main aehsaas likha jata hai,
Yani pani ko bhi pyaas likha jata hai,
Mere jazbaat se toa mera keyboard bhi waqif hai ji,
Jab main pyar likhta hu toa aapka naam likha jata hai.

Dard Toa Hamne

Dard toa hamne intezar me dekha hai ,
Chaahat ka asar pyar me dekha hai ,
Log dhundte hai mandir masjid me jis khuda ko ,
Use humne apne pyaar me dekha hai …

Kab Tak Intezaar Karoon

Kab tak intezaar karoon main tera,
Ab aur intezaar nahi hota,
Tune jo dil na lagaya hota,
Toa mera ye haal na hota.

Page 4 of 41234