Hindi Shayari



Jab Khuda Ne

Jab khuda ne ishq banaya hoga
Tab khud khuda ne bhi use aazmaya hoga
Hamari aaukat hi kya hai
Kambakht ishq ne khuda ko bhi rulaya hoga

By Chandni

Ye Raat

Ye raat itni tanha kyu hoti hai
Kismat se apni sabko shikayat kyu hoti hai
Ajeeb khel khelti hai kismat
Jise hum paa nahi sakte
Ussi se hi mohabbat kyu hoti hai?

By Chandni

Kisi Gair Ko

Kisi gair ko apna bana ke to dekhiye..
Aur kisi rote ko hansa ke to dekhiye..
Pyar, mohobbat, dosti, ishq… Sab dhokha hai..
Par maza aayega khuda kasam…
Ye dhokha ek baar kha ke toa dekhiye..

By Bharat Bhushan

Jisko Samajti Hun

Jisko samajti hun mai anjana sa chehra….
Jane mile kis mod wo pehchana sa chehra…..
Wo khel rahe hai ya sach hai ye haqiqat……..
Koi mujhe bata de kya hai tera “chehra”

By Raji

Likho Toa

Likho toa kuch aisa likho
Ke kalam bhi rone pe majboor ho jaye
Har lub mai woh dard paida karo
Ke woh bhi tumhe pyaar karne per majboor ho jaye……..

By Rupesh Patel

Khushi Ya Gam

Khushi ho ya ho gam , jayada ho ya kam
Sab kuch sehna to padta hi hai
Chahe sapne hakikat na ho paye
Chahe zindagi mussibat ban jaaye
Fir bhi iss jahan mein rehna to padta hi hai

By Suman Bharti

Bewafa Na Tha

Wo bewafa na tha yuhi badnaam ho gaya
Hazaro chahne wale thy kis kis se wafa karta

By Om Verma

Dobara Pyaar Nahi Hota

Sapna kabhi saakar nahi hota,
Mohabbat ka koi aakar nahi hota,
Ho pata hai duniya main sab kuch,
Par dobara kisi se sacha pyaar nahi hota….

By Zoheb Shaikh (jojo)

Page 2 of 512345