"Hindi Shayari"



Aap Gairo Ki

Aap gairo ki baat karte hai,
Humne apno ko aajmaya hai,
Log kanto se bachkar chalte hai,
Humne phoolo se zakhm kaye hai….dilse

By Ali Khan

Baarish Jab

Baarish jab bhi uski chahat ko bhigoti hogi.
Vo bhi meri yaad mai roti hogi.
Vo kare lakh mana magar mera naam sunkar,
Halki si chuban uske dil me hoti hogi

By ABDUL SUBHAN RAZA

Hasrat Nahi

Hasrat nahi,armaan nahi..
Yaadoan ke siva aur mere paas kuch nahi..
Jindagi ki safar main kaun kiska hota hain???
Chhaya bhi saath nahi deti jab andhera hota hain…

By A SUBHAN

Gila Shikwa

khud ko akele ka tana na dia kro,
yadoon ka gila shikwa bhi na kia kro,
kya btaye tumko kitna karte hai yaad,
hisab lagana ho toa apni sansien gin lia karo….

Valentines Day Shayari

A4_Aapko
B4_Bahut Bahut
C4_Chori Chori
D4_Dil se
E4_Ek Baar Mil Kar
E4_Face To Face
G4_Gale Laga Kar
H4_Hum Tumko Kehna Chahte He 143..

Aaj Bhi Hai Unka Nasha

Woh na hai saat hamare par aaj bhi hai unka nasha,
Na bache soor, na bache shabd par aaj bhi hai ek nagmah,
Aaj bhi hai raahe, aaj bhi ek manzil, Judah ho gaya hamraah,
Na bacha jism na bacha jigar, par aaj bhi hai ek aah .

To Perfect Blossom

by Dayal

Khudah Ka Hibah

Aaj bhi wahee huboot aur khudah ka hibah,
Aaj bhi wahee liyaqat aur wahee nek jazbah
Aaj bhi wahee rahm aur wahee jalwah-e-shafaqat, kindness
Aaj bhi wahee sharmaana aur wahee palak-e-rukhsat,

To Perfect Blossom
by Dayal

Ye Zidd Hai

Ye zidd hai hamari ke tumhe cheen lein sabse…….
ham aur zamanay se taqaza nai karte.
Hum toa gosha-e-tanhai mein ro lete hain akar…….
par shehar ki galioon mein tamasha nai karte.

Kitna Pyaar Karte Hain

Kaise bataaye kitna pyaar karte hain hum tumse,
ye bhi nahi jaante hum kitni khafaa ho humse
aaogi humaare paas aur dogi jawaab to mar jaaenge hum khushi se
na aaogi to rote rote mar jaaenge hum tere ghum se

kisi aashiq ki mazaar ke wahaan khadaa hua aur uski kabr ka darwaaza khatkhataaya
thodi kahaani humne use bataai apni aur thoda sach usne hume bataaya
baato baato me humne use puch kya usne uski mehbooba ko dil ka haal bataaya
thoda sa khafaa ho gaya woh aur naaraaz ho kar hume ye jataaya

me jise chaahta tha wo kisi aur ki wafaa nibhaati thi
pyaar karti thi humse phir bhi milne nahi aati thi
kaise kisi aur ki wafaa me roz roz jal jaati thi
chitthi me hi dil ka saara haal sunaati thi

us ke dil ka haal sunkar rosz marta tha main
na jaane kitni galiyo se guzarta tha main
sochta tha zindagi ko alvida keh du
lekin marne ke baad uska kaun hoga ye soch ke darta tha main

phir ek din milne aai wo humse
tut chuki thi puri tarhaa ghum se
maine uske dil ka haal jaane bina keh diya
pyaar karte hai tumse hum kasam se

usne kahaa main bhi tumse pyaar karti hoon
phir bhi main kisi aur pe marti hoon
aaj pataa chala ki sirf tera dil hi sachcha hai
uske dil me mere liye jagaa nahi par mere pet me uska bachcha hai

ye sunkar maine use kahaa ki koi fark nahi padta mujhe
mujhe pyaar tum se hai tumhaare jism se nahi
usne kahaa main bhi nahi chaahti apne jism ko
ye kehkar khatam kar diya usne apne aap ko vahi

uske mar jaane ke ghum se maine apni jaan de di
marne ke baad khuda ko apni pehchaan de di

khuda ne kahaa jo ladki tum se pehle aai thi usne tumhe ye bachcha de diya
tumhaari raah dekhkar usne dharti par janam le liya…

Khone Ka Maza

Pane se khone ka maza khuch aur hota hai,
Bandh ankhon main me rone ka maja khuch aur hota hai,
Anshu bane laphz aur laphz bane gazal aur us gazal main tere hone ka maza kuch aur hota hai…

I misss u sona…
Submitted By Hetishkewi

Next Page »