Dard Shayari - Page 8



Unse Keh Do

Unse keh do wo meri rahon main na aaya kare,
aa bhi jaye toh muh pher kar na jaya kare,
main toh waise hi jala dil liye firta hoon,
apni berukhi se is dil ko or na jalaya kare,
unki judai se tadapna seekh liya humne,
apna keh kar kalam kisi or na gaya kare…

unse keh doh wo meri rahon main na aaya kare….
unse keh doh wo meri rahon main na aaya kare….

Submitted By K K SHARMA

Jakhm Gahre

Jakhm gahre na the tab dil ke,
dard main is kadar mithas na thi,
aap hi ka yeh karz hai warna,
jindgi is kadar udas na thi.

Submitted By K K SHARMA

Kitni Vaffa

kitni vaffa is tanhai ne ki,
kitni mohobbat tujhse humne ki….
par joo kabhi na aaya vo bas tera ikrar tha..,
par meri kabra mein bhi teri yaad ka saath tha………

Submitted By Keshav Verma

Dard Ko Na Dard se Dekho

Dard Ko Na Dard se Dekho,
Dard Ko Bhi Dard Hota Hai,
Dard Ko Bhi Zaroorat Hai Pyar Ki,
Akhir Pyar Me Dard Hi To Hamdard Hota hai…..

Submitted by Layeeq

In Hazaroan Ki Duniya Main

In hazaroan ki duniya main tumhara hi chehra nazar kyu aata hai,
dil akela reh gya hai fir bhi uska ehsas hi nazar kyu aata hai,
Toofan me bhi ye sagar viran nazar kyu nazar aata hai,
Barish ke mousan main bhi mera man kyu sukha-viran nazar aata hai,
Akeli hu me fir bhi wo kyu mujhe mere pass nazar aata hai…….?
Chah ke bhi dur nahi ho pa rahi me us se,
kyu wo bar-bar mere khwabo me nazar aata?
Dil tod diya usne mera tab bhi wo mujhe apna pyar hi nazar kyu aata hai.
kaisa ye ehsas hai pyar ka ki jo hamko tod ke jata hai wo hi kyu hame apna pyar sansar aata hai ….

Submitted by Pooja

Apni Bebasi Par

Apni bebasi par aaj rona aaya ,
Dusroan ko kya , maine toa aapnoan ko bhi aajmaya ,
Har dost ki tanhai hamesha dur ki maine ,
Lekin khud ko har mor par hamesha akela paya …

Main to yaadon ke

Main to yaadon ke sherago ko jalane main raha,
Dil ke dehlez ko asko se sajane main laga raha,
Mud gaye woh to sikko ki khanak sunkar,
Main to gareboan ki lakero ko mitane main laga raha …

Na Jane Kyun

Na jane kyun apne saye se bhi dar raha hoon main,
Apni hi galiyon se chhupkar guzar raha hoon main,
Maangi thi kabhi duaaon mein ik anokhi maut maine,
Isiliye shayad jeete-ji mar raha hoon main.

Page 8 of 8« First...345678