Jeena Ka Matlab
Maine jeena ka matlab mohabbat mai paa liya.
Jis ko bhi ghum tha uss ko apna liya.
Aap rokar bhi ghum ko halka na kar sake.
Maine hasi ki aadh me har ghum ko chupaliya..
By Mohd Hamed
Collection of Sher o Shayari, Funny Shayari, Hindi Shayri, Sms Shayari and Love Shayari
Maine jeena ka matlab mohabbat mai paa liya.
Jis ko bhi ghum tha uss ko apna liya.
Aap rokar bhi ghum ko halka na kar sake.
Maine hasi ki aadh me har ghum ko chupaliya..
By Mohd Hamed
Na jane kyun apne saye se bhi dar raha hoon main,
Apni hi galiyon se chhupkar guzar raha hoon main,
Maangi thi kabhi duaaon mein ik anokhi maut maine,
Isiliye shayad jeete-jea mar raha hoon main
By ABDUL SUBHAN RAZA
FAREB THA UNKI HANSI ME AASHIQI SAMAJ BETHE,
MAUT KO HUM APNI JINDAGI SAMAJH BAITHE,
YE WAQT KA MAZAAK THA YA HUMARI BADNASIBI,
UNKI DO BAATO KO HUM MOHABBAT SAMAJH BETHE…dilse
By Ali Khan
Har Mehfil Har Dil Bhi Royega,
Jahan Dubegi Meri Kashti Wo Sahil Bhi Royega,
Itna Pyar Bhikher Denge Jamane Mein Hum,
Ki Qatal Karke Mera Qatil Bhi Royega….dilse
By Ali Khan
Hum haste hai toh wo samajhte hain ke,
Hame aadat hai muskurane ki,
Lekin woh nadan kya jaane ke,
yeh bhi aada hai gum chupane ki….
By ABDUL SUBHAN RAZA
Kisi ki yaad ne itna tadpa diya mujhko,,
Jeena mushkil tha marna bhi bhula diya mujhko,,
Zindagi gum k sagar me utar aai hai,
Iss tarha kashti ko meri toofa me baha diya usne
By Shoaib
Khushi itni ho ki tum dikha sako,
Gum bas itna ho ki tum chupa sako,
Zindagi main kam se kam ek rishta toa aaisa jaroor rakhna,
Jiske liye tum mud off main bhi muskura sako…
Ashkoan ki barsaat degayee wo jaate jaate,
Aahon ki saughaat degayee wo jaate jaate.
Dil ne chaha tha bhar lenge use baahon me,
Aarzuon ki bouchhar degayee wo jaate jaate.
Badhaya jo khadam maine use chhune ke liye,
Rahao me kanten bikhair gayee wo jaate jaate.
Lada tha maine dunya se jiski khatir,
Hami par waar kargayee to jaate jaate.
by syed sami