Kitna Dard
Kitna dard diya hai kisi ne apko,
Hum bhi unhi dard khane walo mai se hai ,
Samjhte hai apka dard,
Par acha iss dard ko bhool jane mai hai.
By Manisha Gusain
Kitna dard diya hai kisi ne apko,
Hum bhi unhi dard khane walo mai se hai ,
Samjhte hai apka dard,
Par acha iss dard ko bhool jane mai hai.
By Manisha Gusain
Aye rakib hame geeron se gila nahi apno se shiqwa hai
Hame jo thofa mila hai dard ka jaam uski dawaa hai
By Naveed Baig
Meri maut ki khabar tujhe mil jayegi
Agar mere marne se tujhe khushi mile to woh khushi tujhe mil jayegi
Ek bar toa tu bhi ansoo bhahayegi mujhe yaad karke
Tab meri mohabbat teri wafa ka karz chukayegi
By Naved Baig
Wo roye toa hum chupa chupa ke roye,
Wo gaye to dil todkar gaye,
Tukde tukde kar diye unhone hamari tabir ke hamare samne,
Baad me pata chala ki wo tukde jod jod ke roye………..
Love u Supriya
By Subodh
Na jane unn par itna yakin kyu hota hai,
Na jane unka khayal bhi itna haseen hota hai,
Suna hai ki pyar ka dard mitha hota hai,
Toa iss ankh se nikla pani namkin kyu hota hai…
By Subodh
Mat karo tum woh wada jishe nibha na sako,
Mat chaho use jishe tum paa na sako
Pyar har kisi ka kaha pura hota hai ,
Pyar ka pehla akshar hi adhura hota hai.
By P Sahil
Mit chuki hai meri har khushi, Muskurane se kya fayda
Mere daman mai hai dag tera, Ab mitane se kya fayda
Lut gai hai meri har khushi, Ab bachane se kya fayda
Tu mera tha na ho ga kabhi, Ye batane se kya fayda
Umar bhar tadhfe tere liye, Ab jatane se kya fayda
Tu milega hai dil ko yakin, Teri banhon mai nille yeh dam
Maut hojayegi fir hansi, Fir tadapne se kya fayda
Ye to dil ki hai bateen sabhi, Ab batane se kya fayda
By Hameeda Ameer
Mujarim hu tera aa mujhe jo chaahe sazaa de
Mujarim hu tera aa mujhe jo chaahe sazaa de
Iss dil mai muhabbat ki sanam aag lagaa de
Jazbaat kaa dil me koi tufaan uthaa ke
Kahate hai jise pyaar zamaane ko dikhaa de
Duniyaa se kabhi pyaar kaa shikavaa na karunga
Le haath me Khanjar meri gardan ko udaa de
Continue Reading »