"Dard Shayari"



Har Mehfil

Har Mehfil Har Dil Bhi Royega,
Jahan Dubegi Meri Kashti Wo Sahil Bhi Royega,
Itna Pyar Bhikher Denge Jamane Mein Hum,
Ki Qatal Karke Mera Qatil Bhi Royega….dilse

By Ali Khan

Hum haste hai

Hum haste hai toh wo samajhte hain ke,
Hame aadat hai muskurane ki,
Lekin woh nadan kya jaane ke,
yeh bhi aada hai gum chupane ki….

By ABDUL SUBHAN RAZA

Kisi Ki Yaad Ne

Kisi ki yaad ne itna tadpa diya mujhko,,
Jeena mushkil tha marna bhi bhula diya mujhko,,
Zindagi gum k sagar me utar aai hai,
Iss tarha kashti ko meri toofa me baha diya usne

By Shoaib

Khushi Itni Ho

Khushi itni ho ki tum dikha sako,
Gum bas itna ho ki tum chupa sako,
Zindagi main kam se kam ek rishta toa aaisa jaroor rakhna,
Jiske liye tum mud off main bhi muskura sako…

Ashkoan Ki Barsaat

Ashkoan ki barsaat degayee wo jaate jaate,
Aahon ki saughaat degayee wo jaate jaate.

Dil ne chaha tha bhar lenge use baahon me,
Aarzuon ki bouchhar degayee wo jaate jaate.

Badhaya jo khadam maine use chhune ke liye,
Rahao me kanten bikhair gayee wo jaate jaate.

Lada tha maine dunya se jiski khatir,
Hami par waar kargayee to jaate jaate.

by syed sami

Waada kiya

Waada kiya tha mujhe pyar karne ka…
waada kiya tha mujhe kabhi na chodne ka…
waada kiya tha ke na rulao gi mujhe..
waada kiya e-bewafa lekin khud hi bhul gaye…
waada na nibha saki to kyun ye waada diya…

by Rahul C.

Wo Nadi

Wo nadi nahi aansoon the mere
jinpar wo kashti chalate rahe
manzil unko mile ye chahat thi meri
isliye hum aansoo bahate rahe..

by pankaj

Cheen Le

Kuch mujh se cheenana hai to Tanhai cheen le
ya meri baat maan ya gayahi cheen le
ya uss ko rakhna tamaam umer mere samne
Ya mujh se meri benahi cheen le..

by SHAHID MEHMOOD UAE

Tere Shaher Ka Mousam

Tere shaher ka mousam bada suhana laga,
ek shaam churalu agr bura na lage
tere bass main hai to tu bhool ja mujhe
tujhe bhulane me mujhe shayad zamana lage..

By rajeev upadhyay batla

Tuti Hui Kashti

Meri aur unki tho bas itni kahani hai ,
tuti hui kashti aur dhundhla sa pani hai.
ik gulab jo unki kitab main rakha rakha sookh gaya hai
aur unhe yaad bhi nahi ye kiski nishani hai

By Sammy
to my sweetheart(mani……)

« Previous PageNext Page »