Dard Shayari



Kisi Ke Liye

Kisi ke liye jeena padata hain,
to kisi ke liye marna padata hain,
dil na chahe bhi to kya kare sabki khushi ke liye hasna padta hain,
khushi to jhalak dikhla ke chali jati hain,
gum ko to tohfa mankar rakhna padta hain,
kaun yaha hame saath dene wala mila,
kabhi dusro ki khushi ke liye bhi chalna padta hain.

by Lekhu

Diye Se Na Poocho

DIYE SE NA POOCHO BAKI TEL KITNA HAI,
SAANSO SE NA POOCHO BAKI KHEL KITNA HAI,
POOCHNA HAI TO US JALTI HUI LASH SE POOCHO KI,
ZINDGI ME GUM AUR KAFAN ME CHAIN KITNA HAI…

by abhishek

Kaunsa Jakham Tha

Kaunsa jakham tha jo taza na tha,
Itna gum milega andaza naa tha,
Aapki jheel si aankho kaa kya kasoor,
Dubne wale ko hi gehrai kaa andaza naa tha….!

By Dariya Sharma

Jab dil tutta hai

Jab dil tut ta hai to awaz nahi aati.
Mohabbat har kisi ko ras nahi aati.
Ye to apni apni baat hai yaaro koi to bhula nahi pata.
Aur kisi kisi ko yaad nahi aati.

By Randeep to sonia sharma

Dil Ki Hasrat

Dil ki hasrat Adhuri reh gayi,
jaane koun so Majburi reh gayi.

Saare lafz chura le gaya koi,
Zuban pe sirf khamoshi reh gayi.

Usne daman gair ka thaam liya,
Nazar meri dekhti reh gayi.

woh chord kar chal gaya mujhe,
shayad pyar main koi kami reh gayi.

by Vikram Bhardwaj

Na Shikva Hoga

Na shikva hoga na shikayat hogi,
jab bhi dil dhadkega to yaadon ki aahat hogi,
saans na loon phir bhi ye band na hogi,
tujhse baatein na ho to zindagi jung hogi,
AAdy ke jeewan mein umang hogi agar uski jaan uske sang hogi.

MY Love Ekta
AAdy

Khayal Aya

Ajf ir muje wo khayal aya,
Dard me maine jise apna paya.
Tadap utha pane ko takder apni,
Hosh hua to khudko tumse juda paya.

Jaideep Bhatt

Ishq Banaya Hoga

Jab khuda ne ishq banaya hoga
Tab khud khuda ne bhi use aazmaya hoga
Hamari aaukat hi kya hai
Kambakht ishq ne khuda ko bhi rulaya hoga.

By Chandni

Page 1 of 8123456...Last »