--------------------------------------------------------------------------------
Alfaaz ki shakal main aehsaas likha jata hai,
Yani pani ko bhi pyaas likha jata hai,
Mere jazbaat se toa mera keyboard bhi waqif hai ji,
Jab main pyar likhta hu toa aapka naam likha jata hai.
----------------------------------------------------------------------------
Apni bebasi par aaj rona aaya ,
Dusroan ko kya , maine toa aapnoan ko bhi aajmaya ,
Har dost ki tanhai hamesha dur ki maine ,
Lekin khud ko har mor par hamesha akela paya …
----------------------------------------------------------------------------
Tum Hasti ho mujhe hasane ke liye,
Tum Roti ho mujhe rulane ke liye,
Tum ek baar rooth kar toa dekho meri jaan ,
Mar jaunga tumhe manane ke liye ….
----------------------------------------------------------------------------
Dard toa hamne intezar me dekha hai ,
Chaahat ka asar pyar me dekha hai ,
Log dhundte hai mandir masjid me jis khuda ko ,
Use humne apne pyaar me dekha hai …
----------------------------------------------------------------------------
Main to yaadon ke sherago ko jalane main raha,
Dil ke dehlez ko asko se sajane main laga raha,
Mud gaye woh to sikko ki khanak sunkar,
Main to gareboan ki lakero ko mitane main laga raha …
----------------------------------------------------------------------------
Kab tak intezaar karoon main tera,
Ab aur intezaar nahi hota,
Tune jo dil na lagaya hota,
Toa mera ye haal na hota.
----------------------------------------------------------------------------
Yeh dekha hamne khud par aajma kar,
Dhokha dete hain log khud kareeb aa kar,
Kehti hai duniya par yeh dil nhi manta ,
Ke chod jaoge tum bhi ik din aapna banakar….
----------------------------------------------------------------------------
Na jane kyun apne saye se bhi dar raha hoon main,
Apni hi galiyon se chhupkar guzar raha hoon main,
Maangi thi kabhi duaaon mein ik anokhi maut maine,
Isiliye shayad jeete-ji mar raha hoon main.
----------------------------------------------------------------------------
Subah Subah usne bade hi pyar se mere Ghar ke Darwaje ki Ghanti bajai,
Maine ek dum se li Angrai aur jab darwaja khola toa vo bade hi pyar se muskurai ,
Saath hi saath vo thora sa sarmai aur thora ghabrai…
Maine toa socha ke aaj toa Aapni nikal pari mere Bhai,
Agale hi Pal vo mere paas aai ,
Aur mere kaan main bade hi jor se chillai,
Main hi hu ji aapki nai naveli kaam wali bai……..
----------------------------------------------------------------------------
Page 8 of 8« First...«345678