--------------------------------------------------------------------------------

Yaadon mai hum rahe ye ehsaas rakhna
Nazro se dur par dil ke paas rakhna
Ye nahi kehte ki sath raho
Dur hi sahi par hume yaad rakhna.

By Rakesh Sahu

Email This Sher Email This Sher

----------------------------------------------------------------------------

Na wo aa sake na hum
Kabhi ja sake na dard dil ka
Kisi ko suna sake bus baithe hai yadon me lekar aas unki
Na unhone yaad kiya or na hum unko bhula sake.

By Rakesh

Email This Sher Email This Sher

----------------------------------------------------------------------------

Aankho mai arman diya karate hai ;
Ham sabaki Nind Chura liya karate hai :
Ab jab jab aapki palke Zukengi ;
Samaj lena ham aapako yaad kiya karate hai :

By Kamlesh Audichya

Email This Sher Email This Sher

----------------------------------------------------------------------------

Aapne kaha tha chand ko
Dekhkar sona har raat ko!!
Na jaane kyun hum bhula Na sake
Aapki itni si baat ko!!

By Ravi

Email This Sher Email This Sher

----------------------------------------------------------------------------

Chal padi hai kashtiyaan samandar dur hai kinara
Inn maajoon se puch lena kya haal hai hamara
Ab hawaein karengi roshiniyon ka faisla
Jis diye main jaan hogi woh diya reh jayega

By Vijay

Email This Sher Email This Sher

----------------------------------------------------------------------------

Vo ik dost jo pyara sa lagta hain,
Bahut pass hai dil k phir bhi juda sa lagta hain,
Bahut dino se aaya nahi koi paigam uska,
Shayad kisi baat pe khafa sa lagta hain …

From:khan

Email This Sher Email This Sher

----------------------------------------------------------------------------

Tere bina ek pal bhi jea nahi sakta,
Marna chahu bhi to mar nahi sakta,
Tere sath jeene ka wada kiya hai maine,
Iss pyare se wade se main mukar nahi sakta.

Mana ki mulaqat me tamam mushkilein ayengi,
Phir bhi tujhse mile bina main reh nai sakta,
Tujhe qasam hai meri mera sath nibhana har mod per,
Tujhse bichad ke ek kadam bhi main chal nai sakta.

By Raj, Aligarh

Email This Sher Email This Sher

----------------------------------------------------------------------------

Arsh ke aansu kabhi bhi farsh par rukte nahi
Badalon ke samne sukhe chaman jhukte nahi
Kar bharosa uss khuda par jee rahe hain har bashar
Girne wale kaun kehta hai kabhi uthte nahi .

By Kashish

Email This Sher Email This Sher

----------------------------------------------------------------------------

Page 7 of 26« First...5678910...20...Last »