Paigham likho to kuch aisa likho ke qalam bhi rone per majboor hojaye,
har lafz main woh dard bhardo ke padhne wale pyaar karne per majboor ho jaye…!
Submitted by Ali
----------------------------------------------------------------------------
Collection of sher o shayaris...
--------------------------------------------------------------------------------
Paigham likho to kuch aisa likho ke qalam bhi rone per majboor hojaye,
har lafz main woh dard bhardo ke padhne wale pyaar karne per majboor ho jaye…!
Submitted by Ali
----------------------------------------------------------------------------
Pyaar ki dastaan hai kuch is tarah
dur tak jaati hai mere dil ki sada
bepanah hai is dil mein teri khwaish ki dua
tu mil jaye to ho muqambal ye samah.
Submitted By Sandy
----------------------------------------------------------------------------
Mohabbat kya hai agar maloon hota tumhai
tujhe har pal apne sine mein rakhe rahte
kitna aziz tha ye dil mera mujhe
kis behrehmi se toda tune ise…
----------------------------------------------------------------------------
Unka matlab hai aap aankhen shabnami ker lein ;
Mujhe bhula k waser apni zindagi ker lein.
YE TANHAPAN YE BEWASHI YE GUMZADA HAALAT;
DIL MEIN TO AATA HAI K YAAR KHUDKUSHI KER LEIN.
wo mera yaar jane kyun mujhe khuda sa laga ;
kyun dil mein aaya chalo uski bandagi ker lein.
Mai thak gaya uski gali mein ghoom - ghoomker ;
wo kamwakhat baitha raha kahin gher mein.
wo chupke se ander aa hi jaate hain kahi se ;
dil k band chahe raste sabhi ker lein.
Yun hi bus ittefaqn mil gai nazer se nazer ;
dil kab aaya tha k yaar aashiqi ker lein.
Submitted By Sunilastin Mastghan
----------------------------------------------------------------------------
Raat ki tanhai main ham aawaz dia karte hain,
Chand sitaron se aapka zikar kiya karte hain,
Aap aao ya na aao, Par ham aapka intezaar khwaboan main kia karte hain…
----------------------------------------------------------------------------
Na jane us per itna yakin kyu hota hai,
Na Jane uska khayal bhi itna haseen kyun hota hai,
Suna hai pyar ka dard meetha hota hai ,
Toa iss ankh se nikla anshu namkeen kyun hota hai…
----------------------------------------------------------------------------
Hathi ne kaha jaa kar hatni ki kabra par…….
Hathi ne kaha jaa kar hatni ki kabra par…….
Satke jau teri patli kamar par ….
----------------------------------------------------------------------------
Unse keh do wo meri rahon main na aaya kare,
aa bhi jaye toh muh pher kar na jaya kare,
main toh waise hi jala dil liye firta hoon,
apni berukhi se is dil ko or na jalaya kare,
unki judai se tadapna seekh liya humne,
apna keh kar kalam kisi or na gaya kare…
unse keh doh wo meri rahon main na aaya kare….
unse keh doh wo meri rahon main na aaya kare….
Submitted By K K SHARMA
----------------------------------------------------------------------------
Jakhm gahre na the tab dil ke,
dard main is kadar mithas na thi,
aap hi ka yeh karz hai warna,
jindgi is kadar udas na thi.
Submitted By K K SHARMA
----------------------------------------------------------------------------
kitni vaffa is tanhai ne ki,
kitni mohobbat tujhse humne ki….
par joo kabhi na aaya vo bas tera ikrar tha..,
par meri kabra mein bhi teri yaad ka saath tha………
Submitted By Keshav Verma
----------------------------------------------------------------------------