Raat Ki Tanhai Main

August 21st, 2008

Raat ki tanhai main ham aawaz dia karte hain,
Chand sitaron se aapka zikar kiya karte hain,
Aap aao ya na aao, Par ham aapka intezaar khwaboan main kia karte hain…

Na Jane

August 9th, 2008

Na jane us per itna yakin kyu hota hai,
Na Jane uska khayal bhi itna haseen kyun hota hai,
Suna hai pyar ka dard meetha hota hai ,
Toa iss ankh se nikla anshu namkeen kyun hota hai…

Hathi Ne Kaha

August 9th, 2008

Hathi ne kaha jaa kar hatni ki kabra par…….
Hathi ne kaha jaa kar hatni ki kabra par…….
Satke jau teri patli kamar par ….

Unse Keh Do

August 9th, 2008

Unse keh do wo meri rahon main na aaya kare,
aa bhi jaye toh muh pher kar na jaya kare,
main toh waise hi jala dil liye firta hoon,
apni berukhi se is dil ko or na jalaya kare,
unki judai se tadapna seekh liya humne,
apna keh kar kalam kisi or na gaya kare…

unse keh doh wo meri rahon main na aaya kare….
unse keh doh wo meri rahon main na aaya kare….

Submitted By K K SHARMA

Jakhm Gahre

August 9th, 2008

Jakhm gahre na the tab dil ke,
dard main is kadar mithas na thi,
aap hi ka yeh karz hai warna,
jindgi is kadar udas na thi.

Submitted By K K SHARMA

Kitni Vaffa

August 9th, 2008

kitni vaffa is tanhai ne ki,
kitni mohobbat tujhse humne ki….
par joo kabhi na aaya vo bas tera ikrar tha..,
par meri kabra mein bhi teri yaad ka saath tha………

Submitted By Keshav Verma

Aapki dosti itni pyaari

July 3rd, 2008

Aapki dosti itni pyaari hai ke koi shak nahi,
aap pe jaan ko waron isme koi shak nahi,
Sabb ne aap ko laath mari,
kya mera koi haq nahi…!!!

Submitted by Laiba

Dard Ko Na Dard se Dekho

July 3rd, 2008

Dard Ko Na Dard se Dekho,
Dard Ko Bhi Dard Hota Hai,
Dard Ko Bhi Zaroorat Hai Pyar Ki,
Akhir Pyar Me Dard Hi To Hamdard Hota hai…..

Submitted by Layeeq

Yun Nazron Ki Baat

July 1st, 2008

yun nazron ki baat ki to dil chura gaye,
andheron k saaye me dhadkane suna gaye ,
humne to samjha tha aapko ajnabi ,
magar aap to hame hi apna bana gaye……..

Vo Ik Dost

June 30th, 2008

Vo ik dost jo pyara sa lagta hain,
Bahut pass hai dil k phir bhi juda sa lagta hain,
Bahut dino se aaya nahi koi paigam uska,
Shayad kisi baat pe khafa sa lagta hain …